husul-e-arzu mein sai-e-imkani to hoti hai
husūl-e-ārzū meñ sa.ī-e-imkānī to hotī hai
pareshānī se kyā Darnā pareshānī to hotī hai
koī ghabrā ke apnī jaan hī de de to kyā kahiye
har ik mushkil se paidā varna āsānī to hotī hai
bahāroñ se ta.alluq aarzī apnā sahī lekin
hamāre ghar kī raunaq ab bhī vīrānī to hotī hai
mizāj-e-husn par kyā zor ahl-e-ishq kā varna
jab un kā zikr aatā hai pashemānī to hotī hai
kahīñ miltā hai un ko soz mere ashk-e-rangīñ kā
mah-o-anjum meñ yuuñ hone ko tābānī to hotī hai
zamānat āsmāñ kī kaun de arbāb-e-gulshan ko
ye maanā lāla-o-gul kī nigahbānī to hotī hai
tumhāre saath thiiñ kuchh aur zālim chāñdnī rāteñ
fazā meñ aaj bhī ik kaif-sāmānī to hotī hai
tarīq-e-dil-navāzī bhī huā kartā hai logoñ meñ
jafā-kārī to karte ho sitam-rānī to hotī hai
'adīb' aisī navā jis se diloñ ko zindagī miltī
ġhazal-ḳhvānī kā kyā kahnā ġhazal-ḳhvānī to hotī he
husul-e-arzu mein sai-e-imkani to hoti hai
pareshani se kya Darna pareshani to hoti hai
koi ghabra ke apni jaan hi de de to kya kahiye
har ek mushkil se paida warna aasani to hoti hai
bahaaron se talluq aarzi apna sahi lekin
hamare ghar ki raunaq ab bhi virani to hoti hai
mizaj-e-husn par kya zor ahl-e-ishq ka warna
jab un ka zikr aata hai pashemani to hoti hai
kahin milta hai un ko soz mere ashk-e-rangin ka
mah-o-anjum mein yun hone ko tabani to hoti hai
zamanat aasman ki kaun de arbab-e-gulshan ko
ye mana lala-o-gul ki nigahbani to hoti hai
tumhaare sath thin kuchh aur zalim chandni raaten
faza mein aaj bhi ek kaif-samani to hoti hai
tariq-e-dil-nawazi bhi hua karta hai logon mein
jafa-kari to karte ho sitam-rani to hoti hai
'adib' aisi nawa jis se dilon ko zindagi milti
ghazal-KHwani ka kya kahna ghazal-KHwani to hoti he
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.