husul-e-azmat-e-mazi ka KHwab rakhte hain
husūl-e-azmat-e-māzī kā ḳhvāb rakhte haiñ
kahāñ ham aaj bhī apnā javāb rakhte haiñ
jo haq azīz-o-aqārib kā daab rakhte haiñ
vahī zamīñ pe binā-e-azāb rakhte haiñ
laveñ tum apne charāġhoñ kī apne paas rakho
ham apne saath ka.ī āftāb rakhte haiñ
mere karīm tirī rahmatoñ ke sadqe meñ
gunāhgār umīd-e-savāb rakhte haiñ
ḳhayāl pursish-e-āmāl kā nahīñ hai unheñ
jo zer-dastoñ ko zer-e-itāb rakhte haiñ
ḳhayāl-e-yār ġham-e-rozgār fikr-e-ma.āsh
ham ek jaan ko kitne azaab rakhte haiñ
kab un ke sāmne kaam aa.ī apnī laffāzī
vo har savāl ke sau sau javāb rakhte haiñ
husul-e-azmat-e-mazi ka KHwab rakhte hain
kahan hum aaj bhi apna jawab rakhte hain
jo haq aziz-o-aqarib ka dab rakhte hain
wahi zamin pe bina-e-azab rakhte hain
lawen tum apne charaghon ki apne pas rakho
hum apne sath kai aaftab rakhte hain
mere karim teri rahmaton ke sadqe mein
gunahgar umid-e-sawab rakhte hain
KHayal pursish-e-amal ka nahin hai unhen
jo zer-daston ko zer-e-itab rakhte hain
KHayal-e-yar gham-e-rozgar fikr-e-maash
hum ek jaan ko kitne azab rakhte hain
kab un ke samne kaam aai apni laffazi
wo har sawal ke sau sau jawab rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.