husul-e-zar na kasb-e-rutba-e-zi-shan pe rakkhi hai
husul-e-zar na kasb-e-rutba-e-zi-shan pe rakkhi hai
Mohammad Khan Sajid
MORE BYMohammad Khan Sajid
husūl-e-zar na kasb-e-rutba-e-zī-shāñ pe rakkhī hai
nazar ham ne hamesha ḳhidmat-e-insāñ pe rakkhī hai
usī ko har tarah kī kāmrānī ho ga.ī hāsil
asās-e-zīst jis ne hikmat-e-qurāñ pe rakkhī hai
azal ke roz hī se jins-e-ulfat kī girāñ-bārī
nahīf-o-nā-tavāñ se shāna-e-insāñ pe rakkhī hai
mohabbat pyaar hasrat ranj-o-ġham dard-o-hirāsānī
sabhī bātoñ kī tohmat ik dil-e-nādāñ pe rakkhī hai
tan-āsānī-e-sāhil ko to kuchh kahtā nahīñ koī
har ik ne tohmat-e-fitnagarī tūfāñ pe rakkhī hai
ye gul hai barq hai sho'la hai kundan hai ki hai laala
na jaane kyā dahaktī shai lab-e-jānāñ pe rakkhī hai
mah-o-ḳhurshīd ho jaa.eñ na maare sharm ke paanī
isī ḳhātir naqāb us ne ruḳh-e-tābāñ pe rakkhī hai
'nadīm' us ko mayassar aa ga.ī hai shohrat-e-jāved
sadā añgusht jis ne gardish-e-daurāñ pe rakkhī hai
husul-e-zar na kasb-e-rutba-e-zi-shan pe rakkhi hai
nazar hum ne hamesha KHidmat-e-insan pe rakkhi hai
usi ko har tarah ki kaamrani ho gai hasil
asas-e-zist jis ne hikmat-e-quran pe rakkhi hai
azal ke roz hi se jins-e-ulfat ki giran-bari
nahif-o-na-tawan se shana-e-insan pe rakkhi hai
mohabbat pyar hasrat ranj-o-gham dard-o-hirasani
sabhi baaton ki tohmat ek dil-e-nadan pe rakkhi hai
tan-asani-e-sahil ko to kuchh kahta nahin koi
har ek ne tohmat-e-fitnagari tufan pe rakkhi hai
ye gul hai barq hai sho'la hai kundan hai ki hai lala
na jaane kya dahakti shai lab-e-jaanan pe rakkhi hai
mah-o-KHurshid ho jaen na mare sharm ke pani
isi KHatir naqab us ne ruKH-e-taban pe rakkhi hai
'nadim' us ko mayassar aa gai hai shohrat-e-jawed
sada angusht jis ne gardish-e-dauran pe rakkhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.