hu-ba-hu yar sa hai mera badan
hū-ba-hū yaar sā hai merā badan
mujh se uktā gayā hai merā badan
toḌ kar bhī na jiit paayā koī
kyā koī maqbara hai merā badan
maut har samt kar chukī koshish
āḳhirī rāstā hai merā badan
us kī pākīzgī pe marte haiñ
jis ne mailā kiyā hai merā badan
vasl kī aarzū nahīñ us ko
rā.egāñ ho rahā hai merā badan
haq bas us par hai maañ rahī jis meñ
ye to bas naam kā hai merā badan
yaad aa.e mujhe vo naḳhrīlī
jab 'anant' aiñThtā hai merā badan
hu-ba-hu yar sa hai mera badan
mujh se ukta gaya hai mera badan
toD kar bhi na jit paya koi
kya koi maqbara hai mera badan
maut har samt kar chuki koshish
aaKHiri rasta hai mera badan
us ki pakizgi pe marte hain
jis ne maila kiya hai mera badan
wasl ki aarzu nahin us ko
raegan ho raha hai mera badan
haq bas us par hai man rahi jis mein
ye to bas nam ka hai mera badan
yaad aae mujhe wo naKHrili
jab 'anant' ainThta hai mera badan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.