huk uThti hai mere qalb ki gahrai mein
huuk uThtī hai mire qalb kī gahrā.ī meñ
us kī yaad aatī hai jab raat kī tanhā.ī meñ
ab to do vaqt kī roTī bhī nahīñ miltī hai
zindagī kaise kaTegī mirī mahñgā.ī meñ
aaj aayā vo mire ghar to ye mahsūs huā
māhtāb utrā ho jaise mirī añgnā.ī meñ
merī āñkhoñ se nikal aa.e ḳhushī ke aañsū
beTī ruḳhsat jo huī gūñjtī shahnā.ī meñ
ghar meñ mehmāñ agar aa.eñ to ḳhushī hotī hai
maiñ kasar kuchh nahīñ rakhtā huuñ pazīrā.ī meñ
na to roTī hī mayassar hai na kapḌā na makāñ
zindagī yuuñ bhī guzar jaatī hai kaThinā.ī meñ
husn aisā hai ki ā.īne ko hairāñ kar de
ik vafā kī hī kamī hai mire harjā.ī meñ
kaise ash.ār meñ lā.egā ġhazal kī ḳhushbū
vo jo masrūf hai bas qāfiya paimā.ī meñ
dāḳhila merā hī mamnūa hai gulshan meñ 'zakī'
jab ki ḳhuuñ maiñ ne diyā baaġh kī zebā.ī meñ
ai 'zakī' maiñ ne bhī ye ḳhvāh nahīñ samjhā thā
un kī sāzish rahī shāmil mirī paspā.ī meñ
huk uThti hai mere qalb ki gahrai mein
us ki yaad aati hai jab raat ki tanhai mein
ab to do waqt ki roTi bhi nahin milti hai
zindagi kaise kaTegi meri mahngai mein
aaj aaya wo mere ghar to ye mahsus hua
mahtab utra ho jaise meri angnai mein
meri aankhon se nikal aae KHushi ke aansu
beTi ruKHsat jo hui gunjti shahnai mein
ghar mein mehman agar aaen to KHushi hoti hai
main kasar kuchh nahin rakhta hun pazirai mein
na to roTi hi mayassar hai na kapDa na makan
zindagi yun bhi guzar jati hai kaThinai mein
husn aisa hai ki aaine ko hairan kar de
ek wafa ki hi kami hai mere harjai mein
kaise ashaar mein laega ghazal ki KHushbu
wo jo masruf hai bas qafiya paimai mein
daKHila mera hi mamnua hai gulshan mein 'zaki'
jab ki KHun main ne diya bagh ki zebai mein
ai 'zaki' main ne bhi ye KHwah nahin samjha tha
un ki sazish rahi shamil meri paspai mein
- Book : ضبط فغاں(شعری مجموعہ) (Pg. 82)
- Author : کوکب ذکی
- Publication : وشواس پبلی کیشنز ،حیدرآباد (2016)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.