hun aankhen ek KHwab pe qurban karke KHush
huuñ āñkheñ ek ḳhvāb pe qurbān karke ḳhush
aur jism nazr-e-ātish-e-vijdān karke ḳhush
ye tum bhī jānte ho ki haarā nahīñ huuñ maiñ
ho jaao apnī jiit kā elaan karke ḳhush
maiñ us ko bhūlne ke irāde se huuñ dukhī
hotā hai kaun jang kā elaan karke ḳhush
sab lutf le rahe haiñ udāsī kā shahr meñ
haiñ log apne sog kā sāmān karke ḳhush
karte haiñ log jang yahāñ ishq ke liye
ham log ishq jang ke daurān karke ḳhush
hun aankhen ek KHwab pe qurban karke KHush
aur jism nazr-e-atish-e-wijdan karke KHush
ye tum bhi jaante ho ki haara nahin hun main
ho jao apni jit ka elan karke KHush
main us ko bhulne ke irade se hun dukhi
hota hai kaun jang ka elan karke KHush
sab lutf le rahe hain udasi ka shahr mein
hain log apne sog ka saman karke KHush
karte hain log jang yahan ishq ke liye
hum log ishq jang ke dauran karke KHush
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.