hun azal se muntazir baiTha hua
huuñ azal se muntazir baiThā huā
ik qayāmat aap kā va.ada huā
vo to ilzām-e-jafā se bach ga.e
ishq merā muft meñ rusvā huā
saare tūfāñ mauj ban kar rah ga.e
ashk-e-ġham qatre se jab dariyā huā
jab miTe armān-o-hasrat saiñkaḌoñ
dard dil meñ tab kahīñ paidā huā
baat jo nazroñ ne nazroñ se kahī
duur tak us baat kā charchā huā
un ko dekhā thā bas itnā yaad hai
be-ḳhudī meñ jaane phir kyā kyā huā
aap ke dāman talak pahuñche na aañch
sho.ala-e-ġham dil meñ hai bhaḌkā huā
ek tere rūThne se hai ye haal
jaise ho saarā jahāñ rūThā huā
ālam-e-josh-e-junūñ meñ bārhā
mujh ko ḳhud par aap kā dhokā huā
maiñ to ḳhud armānoñ se bezār thā
tum ne bhī Thukrā diyā to kyā huā
maiñ idhar ġharq-e-nadāmat aur udhar
bahr-e-rahmat josh meñ aaya huā
terī is baḳhshish ko yā-rab kyā kahūñ
dil diyā bhī mujh ko to TuuTā huā
hai tasavvur meñ bhī aane se hijāb
ik qayāmat aap kā pardā huā
sher merā sehr hai 'sāhir' huuñ maiñ
sar se pā tak dard meñ Duubā huā
hun azal se muntazir baiTha hua
ek qayamat aap ka wada hua
wo to ilzam-e-jafa se bach gae
ishq mera muft mein ruswa hua
sare tufan mauj ban kar rah gae
ashk-e-gham qatre se jab dariya hua
jab miTe arman-o-hasrat sainkaDon
dard dil mein tab kahin paida hua
baat jo nazron ne nazron se kahi
dur tak us baat ka charcha hua
un ko dekha tha bas itna yaad hai
be-KHudi mein jaane phir kya kya hua
aap ke daman talak pahunche na aanch
shoala-e-gham dil mein hai bhaDka hua
ek tere ruThne se hai ye haal
jaise ho sara jahan ruTha hua
aalam-e-josh-e-junun mein barha
mujh ko KHud par aap ka dhoka hua
main to KHud armanon se bezar tha
tum ne bhi Thukra diya to kya hua
main idhar gharq-e-nadamat aur udhar
bahr-e-rahmat josh mein aaya hua
teri is baKHshish ko ya-rab kya kahun
dil diya bhi mujh ko to TuTa hua
hai tasawwur mein bhi aane se hijab
ek qayamat aap ka parda hua
sher mera sehr hai 'sahir' hun main
sar se pa tak dard mein Duba hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.