hun be-suragh rah napta hun
huuñ be-surāġh raah nāptā huuñ
is tarf us tarf ko bhāgtā huuñ
vo kab kā makāñ kar gayā hai ḳhālī
ik laag hai dar ko tāktā huuñ
thā qurb hī qurb hāsil ik din
ab ḳhvāb meñ us ke jāgtā huuñ
pamba-ba-gosh ho jaa.eñ sāme.a
maiñ shor kī had phalāñgtā huuñ
nāzuk hai bahut ye kār-e-naġhma
us pe sadā ke sañg mārtā huuñ
hun be-suragh rah napta hun
is tarf us tarf ko bhagta hun
wo kab ka makan kar gaya hai KHali
ek lag hai dar ko takta hun
tha qurb hi qurb hasil ek din
ab KHwab mein us ke jagta hun
pamba-ba-gosh ho jaen samea
main shor ki had phalangta hun
nazuk hai bahut ye kar-e-naghma
us pe sada ke sang marta hun
- Book : Aiwan (Pg. 14)
- Author : Nirali Duniya
- Publication : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.