hun hawas-mand-e-junun mashrab hai rindana mera
hun hawas-mand-e-junun mashrab hai rindana mera
Taufeeq Hyderabadi
MORE BYTaufeeq Hyderabadi
huuñ havas-mand-e-junūñ mashrab hai rindāna mirā
hai mirā har-halqa-e-zanjīr paimāna mirā
le gayā shauq-e-adam kyā tez duniyā se mujhe
rah gayā pīchhe ba-shakl-e-gard afsāna mirā
maiñ vo mai-kash huuñ ki merī gardish-e-taqdīr se
sūrat-e-girdāb hai chakkar meñ paimāna mirā
kyoñ na rang-e-kāmyābī laa.e nākāmī mirī
dāstān-e-hasrat-e-dushman hai afsāna mirā
dil-nashīn-e-ittiqā hai ārzū-e-ma.asiyat
ham-kanār-e-ka.aba hai 'taufīq' but-ḳhāna mirā
hun hawas-mand-e-junun mashrab hai rindana mera
hai mera har-halqa-e-zanjir paimana mera
le gaya shauq-e-adam kya tez duniya se mujhe
rah gaya pichhe ba-shakl-e-gard afsana mera
main wo mai-kash hun ki meri gardish-e-taqdir se
surat-e-girdab hai chakkar mein paimana mera
kyon na rang-e-kaamyabi lae nakaami meri
dastan-e-hasrat-e-dushman hai afsana mera
dil-nashin-e-ittiqa hai aarzu-e-masiyat
ham-kanar-e-kaba hai 'taufiq' but-KHana mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.