hun jab se tere halqa-e-faizan-e-nazar mein
huuñ jab se tire halqa-e-faizān-e-nazar meñ
duniyā simaT aa.ī hai mire dīda-e-tar meñ
hai qulzum-e-idrāk kī maujoñ meñ talātum
ab chain mayassar hai safar meñ na hazar meñ
kartā hai koī hurmat-e-ka.aba kī qabā chaak
ik sāhir-e-almūt ke jaadū ke asar meñ
ai gumbad-e-ḳhazrā ke makīñ vaqt-e-duā hai
ka.abe ke musalle haiñ kalīsā ke asar meñ
ai mīr-e-arab shaukat-o-satvat kī Dhalī shaam
har lamha safar barq-o-sharar ḳhauf-o-ḳhatar meñ
girdāb kī maujoñ se sadaf hote haiñ sairāb
kuchh ḳhair ke pahlū bhī huā karte haiñ shar meñ
rakh shīsha-e-dil gard-e-kudūrat se musaffā
miTTī kahīñ rakhtā hai koī kāñch ke ghar meñ
is sham.a kī duniyā ko zarūrat hai bahut aaj
jo shaiḳh liye baiThā hai allāh ke ghar meñ
'bazmī' tan-e-ḳhākī kā taqaddus nahīñ matlūb
hai azmat-e-gauhar kī binā āb-e-guhar meñ
hun jab se tere halqa-e-faizan-e-nazar mein
duniya simaT aai hai mere dida-e-tar mein
hai qulzum-e-idrak ki maujon mein talatum
ab chain mayassar hai safar mein na hazar mein
karta hai koi hurmat-e-kaba ki qaba chaak
ek sahir-e-almut ke jadu ke asar mein
ai gumbad-e-KHazra ke makin waqt-e-dua hai
kabe ke musalle hain kalisa ke asar mein
ai mir-e-arab shaukat-o-satwat ki Dhali sham
har lamha safar barq-o-sharar KHauf-o-KHatar mein
girdab ki maujon se sadaf hote hain sairab
kuchh KHair ke pahlu bhi hua karte hain shar mein
rakh shisha-e-dil gard-e-kudurat se musaffa
miTTi kahin rakhta hai koi kanch ke ghar mein
is shama ki duniya ko zarurat hai bahut aaj
jo shaiKH liye baiTha hai allah ke ghar mein
'bazmi' tan-e-KHaki ka taqaddus nahin matlub
hai azmat-e-gauhar ki bina aab-e-guhar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.