hun kahin gul kahin saba hun main
huuñ kahīñ gul kahīñ sabā huuñ maiñ
is chaman kā ġhazal-sarā huuñ maiñ
tum ko ik Tiis tak nahīñ aa.ī
aur zaḳhmoñ se bhar gayā huuñ maiñ
maut aa baiTh ruk zarā sī der
us kā dīdār kar rahā huuñ maiñ
tum ko ehsās hai zarā sā bhī
muddatoñ se taḌap rahā huuñ maiñ
mujh ko vahshat nigal na jaa.e kahīñ
ḳhud se ḳhud ko chhupā rahā huuñ maiñ
ik sadā meñ hai aisī tanhā.ī
dhyān dene se Dar rahā huuñ maiñ
hun kahin gul kahin saba hun main
is chaman ka ghazal-sara hun main
tum ko ek Tis tak nahin aai
aur zaKHmon se bhar gaya hun main
maut aa baiTh ruk zara si der
us ka didar kar raha hun main
tum ko ehsas hai zara sa bhi
muddaton se taDap raha hun main
mujh ko wahshat nigal na jae kahin
KHud se KHud ko chhupa raha hun main
ek sada mein hai aisi tanhai
dhyan dene se Dar raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.