hun musht-e-KHak magar kuza-gar ka main bhi hun
huuñ musht-e-ḳhāk magar kūza-gar kā maiñ bhī huuñ
so muntazir usī lams-e-hunar kā maiñ bhī huuñ
kabhī havā-e-sar-e-shāḳh-sār idhar bhī dekh
ki barg-e-zard huuñ lekin shajar kā maiñ bhī huuñ
ye tez raushniyoñ kā dayār hai varna
charāġh to kisī tārīk ghar kā maiñ bhī huuñ
tumhāre zaḳhmoñ se merā bhī ek rishta hai
lahū nahīñ huuñ magar chashm-e-tar kā maiñ bhī huuñ
mujhe khiñchī huī talvār sauñpne vaale
maiñ kyā karūñ ki taraf-dār sar kā maiñ bhī huuñ
ab aa ga.ī hai sahar apnā ghar sañbhālne ko
chalūñ ki jaagā huā rāt-bhar kā maiñ bhī huuñ
hun musht-e-KHak magar kuza-gar ka main bhi hun
so muntazir usi lams-e-hunar ka main bhi hun
kabhi hawa-e-sar-e-shaKH-sar idhar bhi dekh
ki barg-e-zard hun lekin shajar ka main bhi hun
ye tez raushniyon ka dayar hai warna
charagh to kisi tarik ghar ka main bhi hun
tumhaare zaKHmon se mera bhi ek rishta hai
lahu nahin hun magar chashm-e-tar ka main bhi hun
mujhe khinchi hui talwar saunpne wale
main kya karun ki taraf-dar sar ka main bhi hun
ab aa gai hai sahar apna ghar sanbhaalne ko
chalun ki jaga hua raat-bhar ka main bhi hun
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 97)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.