hun parsa tere pahlu mein shab guzar ke bhi
huuñ pārsā tire pahlū meñ shab guzār ke bhī
maiñ be-libās nahīñ pairahan utaar ke bhī
har ek sar ko bulandī 'atā nahīñ karte
usuul hote haiñ kuchh to salīb-o-dār ke bhī
hamāre 'aks bhī dhundhle hue to ham samjhe
ki ā.inoñ se haiñ rishte yahāñ ġhubār ke bhī
na ābloñ se hai raġhbat na paañv se ranjish
'ajab sulūk haiñ maidān-e-ḳhārzār ke bhī
vo be-yaqīn bharosa na kar sakā varna
the mere saath ka.ī log e'tibār ke bhī
faqat tumhīñ ko nahīñ apnī sādgī pe ġhurūr
dimāġh 'arsh pe rahte haiñ ḳhāksār ke bhī
maiñ jis ke paañv kī aahaT kā muntazir thā 'salīm'
vo jā chukā mujhe dahlīz se pukār ke bhī
hun parsa tere pahlu mein shab guzar ke bhi
main be-libas nahin pairahan utar ke bhi
har ek sar ko bulandi 'ata nahin karte
usul hote hain kuchh to salib-o-dar ke bhi
hamare 'aks bhi dhundhle hue to hum samjhe
ki aainon se hain rishte yahan ghubar ke bhi
na aablon se hai raghbat na panw se ranjish
'ajab suluk hain maidan-e-KHarzar ke bhi
wo be-yaqin bharosa na kar saka warna
the mere sath kai log e'tibar ke bhi
faqat tumhin ko nahin apni sadgi pe ghurur
dimagh 'arsh pe rahte hain KHaksar ke bhi
main jis ke panw ki aahaT ka muntazir tha 'salim'
wo ja chuka mujhe dahliz se pukar ke bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.