hun tere tasawwur mein meri jaan hama-tan-chashm
huuñ tere tasavvur meñ mirī jaañ hama-tan-chashm
dil hai mirā chuuñ aa.ina hairāñ hama-tan-chashm
tā ek nazar dekhe tujhe ai mah-e-tābāñ
rahtā hai sadā mehr-e-daraḳhshāñ hama-tan-chashm
āñkhoñ ko male taaki tire paañv ke nīche
har naqsh-e-qadam se hai bayābāñ hama-tan-chashm
dīvāngī merī ke tahayyur meñ shab-o-roz
hai halqa-e-zanjīr se zindāñ hama-tan-chashm
us ā.ina-rū ke hai tasavvur meñ 'nazīr' ab
hairat-zada nazāra pareshāñ hama-tan-chashm
hun tere tasawwur mein meri jaan hama-tan-chashm
dil hai mera chun aaina hairan hama-tan-chashm
ta ek nazar dekhe tujhe ai mah-e-taban
rahta hai sada mehr-e-daraKHshan hama-tan-chashm
aankhon ko male taki tere panw ke niche
har naqsh-e-qadam se hai bayaban hama-tan-chashm
diwangi meri ke tahayyur mein shab-o-roz
hai halqa-e-zanjir se zindan hama-tan-chashm
us aaina-ru ke hai tasawwur mein 'nazir' ab
hairat-zada nazara pareshan hama-tan-chashm
- Deewan-e-Nazeer Akbarabadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.