hun wo momin jise iman se sarokar nahin
huuñ vo momin jise īmāñ se sarokār nahīñ
vo barahman huuñ jise hājat-e-zunnār nahīñ
gang vo kaan jo vaqf-e-suḳhan-e-yār nahīñ
kor vo aañkh jise hasrat-e-dīdār nahīñ
kufr se kaam na īmān se matlab hai hameñ
donoñ aalam se ba-juz tere sarokār nahīñ
kyā ḳhabar-dār karegā tū hameñ o zāhid
aap tū apnī haqīqat se ḳhabar-dār nahīñ
kab tire jalva-e-dīdār ne hairān kiyā
kaun sā din hai ki ham naqsh-ba-dīvār nahīñ
sarfaroshī sifat-e-kohkan āḳhir meñ hai
ishq pahle to bahut sahl hai dushvār nahīñ
dahan-e-gor se aatī hai sadā mayyat ko
aaj hamdam nahīñ terā koī ġham-ḳhvār nahīñ
dekh kar us ko ye hoñ mahv ba-rang-e-tasvīr
hai zabāñ muñh meñ magar tāqat-e-guftār nahīñ
chashm-e-dil khol agar hai talab-e-dīd 'akbar'
nazar aa.egā in āñkhoñ se vo dīdār nahīñ
hun wo momin jise iman se sarokar nahin
wo barahman hun jise hajat-e-zunnar nahin
gang wo kan jo waqf-e-suKHan-e-yar nahin
kor wo aankh jise hasrat-e-didar nahin
kufr se kaam na iman se matlab hai hamein
donon aalam se ba-juz tere sarokar nahin
kya KHabar-dar karega tu hamein o zahid
aap tu apni haqiqat se KHabar-dar nahin
kab tere jalwa-e-didar ne hairan kiya
kaun sa din hai ki hum naqsh-ba-diwar nahin
sarfaroshi sifat-e-kohkan aaKHir mein hai
ishq pahle to bahut sahl hai dushwar nahin
dahan-e-gor se aati hai sada mayyat ko
aaj hamdam nahin tera koi gham-KHwar nahin
dekh kar us ko ye hon mahw ba-rang-e-taswir
hai zaban munh mein magar taqat-e-guftar nahin
chashm-e-dil khol agar hai talab-e-did 'akbar'
nazar aaega in aankhon se wo didar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.