hur pariyon ke jamal angar pe aane lage
hur pariyon ke jamal angar pe aane lage
Kausar Tasniim Supauli
MORE BYKausar Tasniim Supauli
huur pariyoñ ke jamāl angār pe aane lage
jab mire mahbūb kuchh singār pe aane lage
giile giile ho rahe the hoñT mere daf.atan
jab pasīne yaar ke ruḳhsār pe aane lage
phir mire sar qatl kā ilzām aane vaalā hai
phir se kuchh dāġh-e-lahū talvār pe aane lage
mere sar ke baal kī qīmat jo de sakte nahīñ
vo bhī merī qīmat-e-dastār pe aane lage
ġharq rahnā thā jinheñ gumnāmiyoñ ke bahr meñ
vo bhī dekho surḳhi-e-aḳhbār pe aane lage
thī jinheñ inkār-e-ulfat aur nafrat ishq se
kyoñ na jaane vo bhī rāh-e-pyār pe aane lage
maiñ ne me.ār-e-ġhazal jin ko batāyā thā kabhī
merī ġhazloñ ke vahī me.aar pe aane lage
dushmanoñ kī ruuh bhī 'tasnīm' thar thar kaañp uThī
jab hamāre naujavāñ yalġhār pe aane lage
hur pariyon ke jamal angar pe aane lage
jab mere mahbub kuchh singar pe aane lage
gile gile ho rahe the honT mere dafatan
jab pasine yar ke ruKHsar pe aane lage
phir mere sar qatl ka ilzam aane wala hai
phir se kuchh dagh-e-lahu talwar pe aane lage
mere sar ke baal ki qimat jo de sakte nahin
wo bhi meri qimat-e-dastar pe aane lage
gharq rahna tha jinhen gumnamiyon ke bahr mein
wo bhi dekho surKHi-e-aKHbar pe aane lage
thi jinhen inkar-e-ulfat aur nafrat ishq se
kyon na jaane wo bhi rah-e-pyar pe aane lage
main ne mear-e-ghazal jin ko bataya tha kabhi
meri ghazlon ke wahi mear pe aane lage
dushmanon ki ruh bhi 'tasnim' thar thar kanp uThi
jab hamare naujawan yalghaar pe aane lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.