huron mein hai charcha teri nazuk-badani ka
huron mein hai charcha teri nazuk-badani ka
Meer Ali Ausat Rashk
MORE BYMeer Ali Ausat Rashk
hūroñ meñ hai charchā tirī nāzuk-badanī kā
shohrā hai chaman meñ tirī gul-pairahanī kā
rutba kam-o-bālā nahīñ muhtāj-o-ġhanī kā
ābād rahe mulk ġharīb-ul-vatanī kā
kyūñkar na karūñ sajda-e-shukrāna-e-ḳhāliq
masjūd-e-ḳhalā.iq huuñ na muhtāj ġhanī kā
aur is se sivā kyā kahūñ ai shām-e-ġharībāñ
mafhūm banāyā hai ġharīb-ul-vatanī kā
ai 'rashk' vo misrā’oñ se hai qand-e-mukarrar
jis sher meñ mazmūn hai shīrīñ-dahnī kā
huron mein hai charcha teri nazuk-badani ka
shohra hai chaman mein teri gul-pairahani ka
rutba kam-o-baala nahin muhtaj-o-ghani ka
aabaad rahe mulk gharib-ul-watani ka
kyunkar na karun sajda-e-shukrana-e-KHaliq
masjud-e-KHalaiq hun na muhtaj ghani ka
aur is se siwa kya kahun ai sham-e-ghariban
mafhum banaya hai gharib-ul-watani ka
ai 'rashk' wo misra’on se hai qand-e-mukarrar
jis sher mein mazmun hai shirin-dahni ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.