huzur-e-dawar-e-mahshar qayamat-KHez saman tha
huzur-e-dawar-e-mahshar qayamat-KHez saman tha
Raja Naushad Ali Khan
MORE BYRaja Naushad Ali Khan
huzūr-e-dāvar-e-mahshar qayāmat-ḳhez sāmāñ thā
hazāroñ haath the aur ek qātil kā girebāñ thā
jo ham donoñ kī qismat meñ pareshānī kā sāmāñ thā
mire dil se ziyāda yaar kā gesū pareshāñ thā
bhalā jannat meñ zer-e-sāya-e-tūbā vo kyā jaate
shahīdoñ ko tirī dīvār ke saaye kā armāñ thā
khile the fasl-e-gul meñ phuul yuuñ shāḳh-e-nasheman meñ
gulistāñ meñ nasheman thā nasheman meñ gulistāñ thā
sar-e-bālīñ na aanā thā na aa.e chārasāzī ko
hamāre dard-e-dil kā to unhīñ ke paas darmāñ thā
junūñ kā josh duunā ho gayā fasl-e-bahārī meñ
mirī qismat pe kyā kyā ḳhanda-zan chāk-e-garebāñ thā
nishān-e-zulm-e-zālim sirf mazlūmoñ se miltā thā
asīrān-e-sitam kī zaat se ābād zindāñ thā
zamāna jis pe shaidā thā usī par ham bhī shaidā the
usī par ham bhī qurbāñ the zamāna jis pe qurbāñ thā
jab un se pūchhtā huuñ kaun thā iqrār thā jis se
vo kahte haiñ hamīñ haiñ haañ hamīñ se ahd-o-paimāñ thā
na shāhān-e-salaf haiñ aur na un kī saltanat baaqī
kahāñ mulk-e-sulaimāñ thā kahāñ qasr-e-sulaimāñ thā
ajab andāz se bikhrī huī thī zulf aariz par
vo zālim kis pareshāñ-hāl ke ġham meñ pareshāñ thā
dil-e-barbād apnā banda-e-ishq-e-butāñ Thahrā
musalmāñ jis ko samjhe the vo kāfir nā-musalmāñ thā
hamārī laash par kis naaz se kahte haiñ vo hañs kar
nahīñ ma.alūm kyā 'naushād' tere dil meñ armāñ thā
huzur-e-dawar-e-mahshar qayamat-KHez saman tha
hazaron hath the aur ek qatil ka gireban tha
jo hum donon ki qismat mein pareshani ka saman tha
mere dil se ziyaada yar ka gesu pareshan tha
bhala jannat mein zer-e-saya-e-tuba wo kya jate
shahidon ko teri diwar ke saye ka arman tha
khile the fasl-e-gul mein phul yun shaKH-e-nasheman mein
gulistan mein nasheman tha nasheman mein gulistan tha
sar-e-baalin na aana tha na aae chaarasazi ko
hamare dard-e-dil ka to unhin ke pas darman tha
junun ka josh duna ho gaya fasl-e-bahaari mein
meri qismat pe kya kya KHanda-zan chaak-e-gareban tha
nishan-e-zulm-e-zalim sirf mazlumon se milta tha
asiran-e-sitam ki zat se aabaad zindan tha
zamana jis pe shaida tha usi par hum bhi shaida the
usi par hum bhi qurban the zamana jis pe qurban tha
jab un se puchhta hun kaun tha iqrar tha jis se
wo kahte hain hamin hain han hamin se ahd-o-paiman tha
na shahan-e-salaf hain aur na un ki saltanat baqi
kahan mulk-e-sulaiman tha kahan qasr-e-sulaiman tha
ajab andaz se bikhri hui thi zulf aariz par
wo zalim kis pareshan-haal ke gham mein pareshan tha
dil-e-barbaad apna banda-e-ishq-e-butan Thahra
musalman jis ko samjhe the wo kafir na-musalman tha
hamari lash par kis naz se kahte hain wo hans kar
nahin malum kya 'naushad' tere dil mein arman tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.