ibaadat ke liye bas rab nahin hai
ibādat ke liye bas rab nahīñ hai
mohabbat se baḌā maz.hab nahīñ hai
maiñ sūraj huuñ mujhe Dhalnā hī hogā
mire hisse meñ koī shab nahīñ hai
jo kahnā chāhtī huuñ tum vo samjho
mirī bātoñ kā vo matlab nahīñ hai
ye kaisā shahr hai jaage hai shab-bhar
yahāñ jiine kā koī Dhab nahīñ hai
nazar kyā mil ga.ī us kī nazar se
tamannā dil meñ koī ab nahīñ hai
bahut mushkil hai jiinā zindagī kā
kalā hai ye koī kartab nahīñ hai
jirah meñ sab ke sab uljhe hue haiñ
kisī kī baat kā matlab nahīñ hai
ibaadat ke liye bas rab nahin hai
mohabbat se baDa mazhab nahin hai
main suraj hun mujhe Dhalna hi hoga
mere hisse mein koi shab nahin hai
jo kahna chahti hun tum wo samjho
meri baaton ka wo matlab nahin hai
ye kaisa shahr hai jage hai shab-bhar
yahan jine ka koi Dhab nahin hai
nazar kya mil gai us ki nazar se
tamanna dil mein koi ab nahin hai
bahut mushkil hai jina zindagi ka
kala hai ye koi kartab nahin hai
jirah mein sab ke sab uljhe hue hain
kisi ki baat ka matlab nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.