ibaadat ki farawani ghazal hai
'ibādat kī farāvānī ġhazal hai
mohabbat ek rūhānī ġhazal hai
haiñ is kī milkiyat meñ saikḌoñ rang
kahīñ niilī kahīñ dhānī ġhazal hai
ye lafzoñ kī numā.ish nasr hai gar
to ehsāsoñ kī tuġhyānī ġhazal hai
to phir kāġhaz ke chehre par ye kyā hai
agar miTTī havā paanī ġhazal hai
tapasyā kī hai sadiyoñ tak suḳhan kī
tabhī 'chetan' ne pahchānī ġhazal hai
'ibaadat ki farawani ghazal hai
mohabbat ek ruhani ghazal hai
hain is ki milkiyat mein saikDon rang
kahin nili kahin dhani ghazal hai
ye lafzon ki numaish nasr hai gar
to ehsason ki tughyani ghazal hai
to phir kaghaz ke chehre par ye kya hai
agar miTTi hawa pani ghazal hai
tapasya ki hai sadiyon tak suKHan ki
tabhi 'chetan' ne pahchani ghazal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.