ibarat se waraq aari rahega
ibārat se varaq aarī rahegā
magar likhnā mirā jaarī rahegā
azal kī sub.h se shām-e-abad tak
nasha mujh pe to ye taarī rahegā
ḳhudā.ī hai to hai koī ḳhudā bhī
na ho shā.ir to kab qaarī rahegā
jo nāz-e-kaj-kulāhī se hai ġhāfil
vahī fankār darbārī rahegā
mohabbat karne vāloñ kā jahāñ se
ajab ik rishta-e-ḳhvārī rahegā
bañdhī hai jis ke sar dastār-e-shāhī
vo suufī jins bāzārī rahegā
ibarat se waraq aari rahega
magar likhna mera jari rahega
azal ki subh se sham-e-abad tak
nasha mujh pe to ye tari rahega
KHudai hai to hai koi KHuda bhi
na ho shair to kab qari rahega
jo naz-e-kaj-kulahi se hai ghafil
wahi fankar darbari rahega
mohabbat karne walon ka jahan se
ajab ek rishta-e-KHwari rahega
bandhi hai jis ke sar dastar-e-shahi
wo sufi jins bazari rahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.