ibaraten chamak rahi hain dil mein tere pyar ki
ibārateñ chamak rahī haiñ dil meñ tere pyaar kī
diye kī lau meñ jal rahī hai raat intizār kī
bhaTak rahī hai āsmāñ meñ aarzū kī fāḳhta
zamīñ pe zindagī paḌī hai aag meñ buḳhār kī
mirī vo manzileñ na thiiñ jo manzileñ mujhe milīñ
mirī nahīñ thī raah vo jo maiñ ne iḳhtiyār kī
jhulas ga.e nigāh ke tamām ḳhvāb aañch se
ye dāstān hai nazar pe raushnī ke vaar kī
sulā rahī hai beach raah meñ thakan hameñ 'charāġh'
jagā rahī hai justujū magar tire dayār kī
ibaraten chamak rahi hain dil mein tere pyar ki
diye ki lau mein jal rahi hai raat intizar ki
bhaTak rahi hai aasman mein aarzu ki faKHta
zamin pe zindagi paDi hai aag mein buKHar ki
meri wo manzilen na thin jo manzilen mujhe milin
meri nahin thi rah wo jo main ne iKHtiyar ki
jhulas gae nigah ke tamam KHwab aanch se
ye dastan hai nazar pe raushni ke war ki
sula rahi hai beach rah mein thakan hamein 'charagh'
jaga rahi hai justuju magar tere dayar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.