Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ibn-e-mariyam ki shafaat shoKHi-e-ijad tak

Abaan Asif Kachkar

ibn-e-mariyam ki shafaat shoKHi-e-ijad tak

Abaan Asif Kachkar

MORE BYAbaan Asif Kachkar

    ibn-e-mariyam shafā.at shoḳhī-e-ījād tak

    ḳhānumāñ tāmīr-e-nau shud ḳhānumāñ barbād tak

    phir ki āzā-e-majālis ḳhud kiye jaane lage

    dād-e-fan takmīl-e-sozish un ke vaañ irshād tak

    āshiqī mujh be-navā mustanad kab kyā rahī

    chal rahe haiñ sahrā sahrā qais se farhād tak

    kū-ba-kū mātam bapā hai dū-ba-dū gardan kaTī

    āmad-e-insān hai phir daar par sayyād tak

    kyā huā mansūr itnā tanāza is qadar

    tā-naza.a thā haq maqdam haq ke aurād tak

    dil ke ajzā ab ḳharīde rahe haiñ shauq se

    dil judā hai dam davā se sā.at-e-uftād tak

    ye tasavvuf taur-e-marham shā.irī Dhab kahāñ

    hai 'abān' mauj-e-ġhazal urdu hai ustād tak

    ibn-e-mariyam ki shafaat shoKHi-e-ijad tak

    KHanuman tamir-e-nau shud KHanuman barbaad tak

    phir ki aaza-e-majalis KHud kiye jaane lage

    dad-e-fan takmil-e-sozish un ke wan irshad tak

    aashiqi mujh be-nawa ki mustanad kab kya rahi

    chal rahe hain sahra sahra qais se farhad tak

    ku-ba-ku matam bapa hai du-ba-du gardan kaTi

    aamad-e-insan hai phir dar par sayyaad tak

    kya hua mansur ka itna tanaza is qadar

    ta-naza tha haq ka maqdam haq ke hi aurad tak

    dil ke ajza ab KHaride ja rahe hain shauq se

    dil juda hai dam dawa se saat-e-uftad tak

    ye tasawwuf taur-e-marham shairi ka Dhab kahan

    hai 'aban' mauj-e-ghazal urdu ka hai ustad tak

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now