ibraton ke waste dar dar bhaTakta rah gaya
ibratoñ ke vāste dar dar bhaTaktā rah gayā
ḳhāndānī shaan ke hāthoñ meñ kaasa rah gayā
sab ke armānoñ kā sūraj jagmagā uTThā magar
ik mirī qismat kā gardish meñ sitāra rah gayā
ghar kī īñTeñ bik ga.iiñ asbāb-o-zevar bik ga.e
hai ḳhudā kā shukr himmat kā asāsa rah gayā
koshisheñ maujoñ se laḌte laḌte thak kar so ga.iiñ
Dūbne vaale kī āñkhoñ meñ kināra rah gayā
aañkh meñ jitne the aañsū dhīre dhīre bah ga.e
dil kā jo bhī zaḳhm thā taaza kā taaza rah gayā
be-zamīroñ ke shikam ko rizq kī qillat na thī
bas anā ke sāmne faaqa hī faaqa rah gayā
saarī qadreñ vaqt kī āñdhī uḌā kar le ga.ī
nasl-e-nau ke rū-ba-rū maazī kā ḳhāka rah gayā
ruuh ruḳhsat ho ga.ī sab rishte-nāte chhoḌ kar
rah gayā bas jism kā ḳhālī lifāfa rah gayā
rafta rafta miT ga.e 'ahsan' sabhī dilkash nuqūsh
bas ġhubār-e-vaqt kā chehre pe ġhāza rah gayā
ibraton ke waste dar dar bhaTakta rah gaya
KHandani shan ke hathon mein kasa rah gaya
sab ke armanon ka suraj jagmaga uTTha magar
ek meri qismat ka gardish mein sitara rah gaya
ghar ki inTen bik gain asbab-o-zewar bik gae
hai KHuda ka shukr himmat ka asasa rah gaya
koshishen maujon se laDte laDte thak kar so gain
Dubne wale ki aankhon mein kinara rah gaya
aankh mein jitne the aansu dhire dhire bah gae
dil ka jo bhi zaKHm tha taza ka taza rah gaya
be-zamiron ke shikam ko rizq ki qillat na thi
bas ana ke samne faqa hi faqa rah gaya
sari qadren waqt ki aandhi uDa kar le gai
nasl-e-nau ke ru-ba-ru mazi ka KHaka rah gaya
ruh ruKHsat ho gai sab rishte-nate chhoD kar
rah gaya bas jism ka KHali lifafa rah gaya
rafta rafta miT gae 'ahsan' sabhi dilkash nuqush
bas ghubar-e-waqt ka chehre pe ghaza rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.