ibtida har ek KHushi ki intiha-e-gham se hai
ibtida har ek KHushi ki intiha-e-gham se hai
Syed Akhtar Ali Akhtar
MORE BYSyed Akhtar Ali Akhtar
ibtidā har ik ḳhushī kī intihā-e-ġham se hai
tāzgī-e-ġhuncha-o-gul girya-e-shabnam se hai
hādsāt-e-dahr meñ shāmil rahā kis kā lahū
surḳh-rūī bāġh-e-ālam kī hamāre dam se hai
apne mai-ḳhvāroñ ko saaqī mast nazroñ kī pilā
raunaq-e-bazm-e-masarrat daur-e-jām-e-jam se hai
mushkileñ kitnī bhī hoñ manzil pe pahuñcheñge zarūr
kāmyābī kī tavaqqo koshish-e-paiham se hai
ham se hī vābasta hai 'aḳhtar' bahār-e-rang-o-bū
husn kī nāz-āfrīnī āshiqī ke dam se hai
ibtida har ek KHushi ki intiha-e-gham se hai
tazgi-e-ghuncha-o-gul girya-e-shabnam se hai
hadsat-e-dahr mein shamil raha kis ka lahu
surKH-rui bagh-e-alam ki hamare dam se hai
apne mai-KHwaron ko saqi mast nazron ki pila
raunaq-e-bazm-e-masarrat daur-e-jam-e-jam se hai
mushkilen kitni bhi hon manzil pe pahunchenge zarur
kaamyabi ki tawaqqo koshish-e-paiham se hai
hum se hi wabasta hai 'aKHtar' bahaar-e-rang-o-bu
husn ki naz-afrini aashiqi ke dam se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.