ibtida-o-intiha hai aaina-dar-aina
ibtidā-o-intihā hai ā.ina-dar-ā.ina
'aks merā boltā hai ā.ina-dar-ā.ina
kaun guzrā hai mire dil se ḳhayāloñ kī tarah
jaane kis kā naqsh-e-pā hai ā.ina-dar-ā.ina
jaise ho tadbīr-dar-tadbīr rāz-e-zindagī
aadmī yuuñ dekhtā hai ā.ina-dar-ā.ina
dil-ba-dil sail-e-tamannā rag-ba-rag zauq-e-hayāt
sochtā huuñ kyā chhupā hai ā.ina-dar-ā.ina
māniye to munkashif hai dil pe misl-e-mahr-o-māh
sochiye to phir ḳhudā hai ā.ina-dar-ā.ina
maiñ huuñ ḳhud apnī shikastoñ kī sadā-e-bāzgasht
tū milā bhī to milā hai ā.ina-dar-ā.ina
rāz-andar-rāz hai is tarh saarī kā.enāt
jaise koī aa.ina ho ā.ina-dar-ā.ina
jo ḳhud apnī aag meñ jaltā rahā hai 'umr-bhar
vo 'sirāj' ab ke jalā hai ā.ina-dar-ā.ina
ibtida-o-intiha hai aaina-dar-aina
'aks mera bolta hai aaina-dar-aina
kaun guzra hai mere dil se KHayalon ki tarah
jaane kis ka naqsh-e-pa hai aaina-dar-aina
jaise ho tadbir-dar-tadbir raaz-e-zindagi
aadmi yun dekhta hai aaina-dar-aina
dil-ba-dil sail-e-tamanna rag-ba-rag zauq-e-hayat
sochta hun kya chhupa hai aaina-dar-aina
maniye to munkashif hai dil pe misl-e-mahr-o-mah
sochiye to phir KHuda hai aaina-dar-aina
main hun KHud apni shikaston ki sada-e-bazgasht
tu mila bhi to mila hai aaina-dar-aina
raaz-andar-raaz hai is tarh sari kaenat
jaise koi aaina ho aaina-dar-aina
jo KHud apni aag mein jalta raha hai 'umr-bhar
wo 'siraj' ab ke jala hai aaina-dar-aina
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.