idhar bhi kabhi chaaragar dekh lena
idhar bhī kabhī chārāgar dekh lenā
harā kyoñ hai zaḳhm-e-jigar dekh lenā
ujāle yahīñ aa ke dam toḌte haiñ
kabhī shaam ko merā ghar dekh lenā
girāñ tujh pe guzre na merī rifāqat
kaḌe kos haiñ ham-safar dekh lenā
nahīñ aarzī dil kī ġham-parvarī kuchh
yūñhī apnī hogī basar dekh lenā
ye hangāma-e-qasr-e-parvez ai dil
rahegā faqat raat bhar dekh lenā
bapā hashr kar degā rāhat-kadoñ meñ
mire ranj-o-ġham kā asar dekh lenā
sitamgār kā jashn-e-rāmish-garī hai
faqat ek raqs-e-sharar dekh lenā
shabistān-e-ishrat meñ jo parda-gar haiñ
vahī hoñge phir parda-dar dekh lenā
fasāna mirā ġhaur se sun rahā thā
hai nam chashm-e-najm-e-sahar dekh lenā
idhar bhi kabhi chaaragar dekh lena
hara kyon hai zaKHm-e-jigar dekh lena
ujale yahin aa ke dam toDte hain
kabhi sham ko mera ghar dekh lena
giran tujh pe guzre na meri rifaqat
kaDe kos hain ham-safar dekh lena
nahin aarzi dil ki gham-parwari kuchh
yunhi apni hogi basar dekh lena
ye hangama-e-qasr-e-parwez ai dil
rahega faqat raat bhar dekh lena
bapa hashr kar dega rahat-kadon mein
mere ranj-o-gham ka asar dekh lena
sitamgar ka jashn-e-ramish-gari hai
faqat ek raqs-e-sharar dekh lena
shabistan-e-ishrat mein jo parda-gar hain
wahi honge phir parda-dar dekh lena
fasana mera ghaur se sun raha tha
hai nam chashm-e-najm-e-sahar dekh lena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.