idhar bhi mehrbani kijiyega
idhar bhi mehrbani kijiyega
Khwaja Ghulamussyedain Rabbani
MORE BYKhwaja Ghulamussyedain Rabbani
idhar bhī mehrbānī kījiyegā
zamīñ ko āsmānī kījiyegā
zarā sā muskurā kar jān-e-jānāñ
fazā ko zāfrānī kījiyegā
charāġhoñ kī zamīñ par banda-parvar
havā se hukmrānī kījiyegā
hamārī dāstān-e-ġham kā charchā
kabhī apnī zabānī kījiyegā
kināre par Dubo kar apnī kashtī
samundar paanī paanī kījiyegā
idhar bhi mehrbani kijiyega
zamin ko aasmani kijiyega
zara sa muskura kar jaan-e-jaanan
faza ko zafrani kijiyega
charaghon ki zamin par banda-parwar
hawa se hukmrani kijiyega
hamari dastan-e-gham ka charcha
kabhi apni zabani kijiyega
kinare par Dubo kar apni kashti
samundar pani pani kijiyega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.