Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

idhar dekh lena udhar dekh lena

Asar Lakhnavi

idhar dekh lena udhar dekh lena

Asar Lakhnavi

MORE BYAsar Lakhnavi

    idhar dekh lenā udhar dekh lenā

    phir un taraf ik nazar dekh lenā

    vo merā na kahne meñ kah jaanā sab kuchh

    vo un achānak idhar dekh lenā

    abas merī jānib se bad-gumāñ hai

    nahīñ mudda.ā kuchh magar dekh lenā

    mire ġham-kade meñ vo ā.eñge ik din

    jhalak uTTheñge bām-o-dar dekh lenā

    'asar' arz-e-hāl un se be-soche-samjhe

    kahā thā ki pahle nazar dekh lenā

    idhar dekh lena udhar dekh lena

    phir un ki taraf ek nazar dekh lena

    wo mera na kahne mein kah jaana sab kuchh

    wo un ka achanak idhar dekh lena

    abas meri jaanib se tu bad-guman hai

    nahin muddaa kuchh magar dekh lena

    mere gham-kade mein wo aaenge ek din

    jhalak uTThenge baam-o-dar dekh lena

    'asar' arz-e-haal un se be-soche-samjhe

    kaha tha ki pahle nazar dekh lena

    Source :
    • Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 103)
    • Author : فرحت احساس
    • Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now