idhar dekhte hain udhar dekhte hain
idhar dekhte haiñ udhar dekhte haiñ
hamesha tirī rahguzar dekhte haiñ
safar hī nahīñ ḳhatm hotā hamārā
musībat maiñ ham apnā ghar dekhte haiñ
agarche hamārā natīja na niklā
magar fail hone kā Dar dekhte haiñ
barastā rahā raat bhar ghar meñ paanī
ḳhudā terī rahmat kā dar dekhte haiñ
hañsī mujh ko aatī hai terī hañsī par
uḳhuvvat ko zer-o-zabar dekhte haiñ
tumhārī mohabbat jo hāsil huī hai
duāoñ kā is meñ asar dekhte haiñ
samundar kī lahreñ sunātī haiñ 'ahmad'
tah-e-āb la.al-o-guhar dekhte haiñ
idhar dekhte hain udhar dekhte hain
hamesha teri rahguzar dekhte hain
safar hi nahin KHatm hota hamara
musibat main hum apna ghar dekhte hain
agarche hamara natija na nikla
magar fail hone ka Dar dekhte hain
barasta raha raat bhar ghar mein pani
KHuda teri rahmat ka dar dekhte hain
hansi mujh ko aati hai teri hansi par
uKHuwwat ko zer-o-zabar dekhte hain
tumhaari mohabbat jo hasil hui hai
duaon ka is mein asar dekhte hain
samundar ki lahren sunati hain 'ahmad'
tah-e-ab lal-o-guhar dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.