idhar hum hain udhar hote hue bhi
idhar ham haiñ udhar hote hue bhī
bayābāñ meñ haiñ ghar hote hue bhī
ye duniyā amn ke zer-e-asar hai
bahut kuchh shor-o-shar hote hue bhī
nazar rakhte haiñ us kī har adā par
bazāhir be-ḳhabar hote hue bhī
mire hī ghar meñ rahnā chāhtī hai
mohabbat dar-ba-dar hote hue bhī
hamāre zaḳhm kyoñ ab tak hare haiñ
hamāre chārāgar hote hue bhī
zamīñ kā jā.eza bhī le rahā huuñ
sitāroñ par nazar hote hue bhī
muravvat ke asar meñ hai ye duniyā
mohabbat meñ asar hote hue bhī
idhar hum hain udhar hote hue bhi
bayaban mein hain ghar hote hue bhi
ye duniya amn ke zer-e-asar hai
bahut kuchh shor-o-shar hote hue bhi
nazar rakhte hain us ki har ada par
bazahir be-KHabar hote hue bhi
mere hi ghar mein rahna chahti hai
mohabbat dar-ba-dar hote hue bhi
hamare zaKHm kyon ab tak hare hain
hamare chaaragar hote hue bhi
zamin ka jaeza bhi le raha hun
sitaron par nazar hote hue bhi
murawwat ke asar mein hai ye duniya
mohabbat mein asar hote hue bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.