idhar hum par bhi roz-o-shab giran hain
idhar ham par bhī roz-o-shab girāñ haiñ
tumhāre saath bhī majbūriyāñ haiñ
nazar aatī nahīñ haiñ kam-nazar ko
sarāboñ ke jigar meñ naddiyāñ haiñ
na samjho rah-zano ham ko akelā
hamāre saath be-sāmāniyāñ haiñ
kabhī ham rahrav-e-rāh-e-vafā the
magar ab sochte haiñ ḳhud kahāñ haiñ
dil-e-tanhā hai ik vīrāñ jazīra
lahū kī har taraf maujeñ ravāñ haiñ
koī kyūñkar hamārā bhed jaane
ki ḳhud hī raaz haiñ ḳhud rāz-dāñ haiñ
na pahuñchegā hameñ dasht-e-tapīda
jo haiñ ātish-ba-pā sho.ala-ba-jāñ haiñ
'shamīm' iz.hār-e-ġham karne se hāsil
yahāñ tum se kise hamdardiyāñ haiñ
idhar hum par bhi roz-o-shab giran hain
tumhaare sath bhi majburiyan hain
nazar aati nahin hain kam-nazar ko
sarabon ke jigar mein naddiyan hain
na samjho rah-zano hum ko akela
hamare sath be-samaniyan hain
kabhi hum rahraw-e-rah-e-wafa the
magar ab sochte hain KHud kahan hain
dil-e-tanha hai ek viran jazira
lahu ki har taraf maujen rawan hain
koi kyunkar hamara bhed jaane
ki KHud hi raaz hain KHud raaz-dan hain
na pahunchega hamein dasht-e-tapida
jo hain aatish-ba-pa shoala-ba-jaan hain
'shamim' izhaar-e-gham karne se hasil
yahan tum se kise hamdardiyan hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.