idhar raha hun udhar raha hun
idhar rahā huuñ udhar rahā huuñ
kahīñ nahīñ huuñ magar rahā huuñ
ye kaisī āvāz aa rahī hai
ye kis jagah se guzar rahā huuñ
ye kaisā ḳhadsha lagā huā hai
ye kaun hai kis se Dar rahā huuñ
hazāroñ sūraj bujhe paḌe haiñ
maiñ apne andar utar rahā huuñ
lahū kī bū sūñghte haiñ kutte
havā pe ilzām dhar rahā huuñ
kahāñ chhupe ho batāo 'alvī'
talāsh barsoñ se kar rahā huuñ
idhar raha hun udhar raha hun
kahin nahin hun magar raha hun
ye kaisi aawaz aa rahi hai
ye kis jagah se guzar raha hun
ye kaisa KHadsha laga hua hai
ye kaun hai kis se Dar raha hun
hazaron suraj bujhe paDe hain
main apne andar utar raha hun
lahu ki bu sunghte hain kutte
hawa pe ilzam dhar raha hun
kahan chhupe ho batao 'alwi'
talash barson se kar raha hun
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 60)
- Author :Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.