idhar se bhi to hawa-e-bahaar guzri hai
idhar se bhī to havā-e-bahār guzrī hai
kuchh ek baar nahīñ baar baar guzrī hai
gilā nahīñ ye faqat arz-e-hāl hai ai dost
tire baġhair bahut be-qarār guzrī hai
vahī to merī hayāt-e-safar kī pūñjī hai
vo zindagī jo sar-e-rahguzār guzrī hai
qalam liye hue sochā kiye ki kyā likheñ
kuchh is tarah bhī shab-e-intizār guzrī hai
bhulā sakeñge na us ko qafas meñ ai sayyād
vo do ghaḌī jo sar-e-shāḳh-sār guzrī hai
kabhī kabhī to mirī bar-mahal ḳhamoshī bhī
unheñ fuġhāñ kī tarah nāgavār guzrī hai
huiiñ jo dil se mire bad-gumāniyāñ un ko
to shā.irī bhī mirī nāgavār guzrī hai
ḳhizāñ meñ bhī na kisī kī ḳhudā kare guzre
vo jis tarah mirī fasl-e-bahār guzrī hai
ubhar ga.ī hai kahīñ par 'razā' jo talḳhī-e-fikr
mire mizāj-e-ġhazal par vo baar guzrī hai
idhar se bhi to hawa-e-bahaar guzri hai
kuchh ek bar nahin bar bar guzri hai
gila nahin ye faqat arz-e-haal hai ai dost
tere baghair bahut be-qarar guzri hai
wahi to meri hayat-e-safar ki punji hai
wo zindagi jo sar-e-rahguzar guzri hai
qalam liye hue socha kiye ki kya likhen
kuchh is tarah bhi shab-e-intizar guzri hai
bhula sakenge na us ko qafas mein ai sayyaad
wo do ghaDi jo sar-e-shaKH-sar guzri hai
kabhi kabhi to meri bar-mahal KHamoshi bhi
unhen fughan ki tarah nagawar guzri hai
huin jo dil se mere bad-gumaniyan un ko
to shairi bhi meri nagawar guzri hai
KHizan mein bhi na kisi ki KHuda kare guzre
wo jis tarah meri fasl-e-bahaar guzri hai
ubhar gai hai kahin par 'raza' jo talKHi-e-fikr
mere mizaj-e-ghazal par wo bar guzri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.