idhar-udhar jo charagh TuTe paDe hue hain
idhar-udhar jo charāġh TuuTe paḌe hue haiñ
salām un ko ye āñdhiyoñ se laḌe hue haiñ
dikhā rahe haiñ hameñ jo apnā phulā ke siina
hameñ pata hai ye kis ke bal par khaḌe hue haiñ
gale milāne kī sulh kī ho pahal kidhar se
abhī to donoñ hī apnī zid par aḌe hue haiñ
haqīqateñ sab dabī huī haiñ unhī ke nīche
siyāsī logoñ ne aise qisse ghaḌe hue haiñ
dikhā.ī dene lage haiñ rishte tamām baune
abhī to sāhab kamā ke daulat baḌe hue haiñ
idhar-udhar jo charagh TuTe paDe hue hain
salam un ko ye aandhiyon se laDe hue hain
dikha rahe hain hamein jo apna phula ke sina
hamein pata hai ye kis ke bal par khaDe hue hain
gale milane ki sulh ki ho pahal kidhar se
abhi to donon hi apni zid par aDe hue hain
haqiqaten sab dabi hui hain unhi ke niche
siyasi logon ne aise qisse ghaDe hue hain
dikhai dene lage hain rishte tamam baune
abhi to sahab kama ke daulat baDe hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.