idrak hi muhaal hai KHwab-o-KHayal ka
idrāk hī muhāl hai ḳhvāb-o-ḳhayāl kā
dil ke varaq pe 'aks hai us ke jamāl kā
rotī nahīñ huuñ maiñ kabhī duniyā ke sāmne
rakhtī huuñ hausla maiñ nihāyat kamāl kā
haiñ marhale 'ajīb ye ishq-o-ḳhirad ke bhī
lamhoñ meñ kar rahī huuñ safar māh-o-sāl kā
darvesh hai koī to qalandar valī koī
bandoñ ne paayā 'ishq meñ rutba kamāl kā
itne sukūñ se maiñ ne kiyā 'ishq kā safar
aayā nahīñ gumān kisī ehtimāl kā
kaisā 'ajīb daur hai maujūda daur bhī
mafhūm koī samjhe na dil ke savāl kā
dam ghuT rahā ho jab mirā apne vajūd meñ
kyā ḳhaak tazkira ho firāq-o-visāl kā
kartī nahīñ 'sabīla' gila maiñ ye soch kar
sāthī nahīñ yahāñ koī ranj-o-malāl kā
idrak hi muhaal hai KHwab-o-KHayal ka
dil ke waraq pe 'aks hai us ke jamal ka
roti nahin hun main kabhi duniya ke samne
rakhti hun hausla main nihayat kamal ka
hain marhale 'ajib ye ishq-o-KHirad ke bhi
lamhon mein kar rahi hun safar mah-o-sal ka
darwesh hai koi to qalandar wali koi
bandon ne paya 'ishq mein rutba kamal ka
itne sukun se main ne kiya 'ishq ka safar
aaya nahin guman kisi ehtimal ka
kaisa 'ajib daur hai maujuda daur bhi
mafhum koi samjhe na dil ke sawal ka
dam ghuT raha ho jab mera apne wajud mein
kya KHak tazkira ho firaq-o-visal ka
karti nahin 'sabila' gila main ye soch kar
sathi nahin yahan koi ranj-o-malal ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.