ima-e-ghazal karti hain mausam ki adaen
īmā-e-ġhazal kartī haiñ mausam kī adā.eñ
ik mauj-tarannum kī havas meñ haiñ fazā.eñ
naġhmoñ kī zabāñ meñ koī samjhe to batā.eñ
kyā chiiz hai ye tarz ye tarheñ ye adā.eñ
roke na ga.e sīna-e-ḳhārā se vo tūfāñ
haiñ jin ko kināroñ meñ liye nañg qabā.eñ
ā.īne se hotī haiñ salāheñ ki kisī ko
jab ḳhuub miTānā ho to kis tarah miTā.eñ
aisī hī tire shahr meñ hotī hai muravvat
aisī hī mire des meñ hotī haiñ vafā.eñ
dekhe koī aflāk kā ye josh-e-tabāhī
tinke ko Darnā ho to tūfān uThā.eñ
Thahrā huuñ isī baat pe maiñ lā.iq-e-tāzīr
jis baat pe baḳhshī ga.iiñ auroñ kī ḳhatā.eñ
dīvānoñ ko duniyā se ulajhne kī kahāñ taab
fursat ho to ik aur hī duniyā na banā.eñ
ye kaun se zindāñ kī girā.ī ga.ī dīvār
ye kaun sī ta.amīr kī uThtī haiñ binā.eñ
ai maskan-e-ḳhūbān-e-zamāñ shahr-e-azīzāñ
ham bhī kabhī bikne tire bāzār meñ aa.eñ
ima-e-ghazal karti hain mausam ki adaen
ek mauj-tarannum ki hawas mein hain fazaen
naghmon ki zaban mein koi samjhe to bataen
kya chiz hai ye tarz ye tarhen ye adaen
roke na gae sina-e-KHara se wo tufan
hain jin ko kinaron mein liye nang qabaen
aaine se hoti hain salahen ki kisi ko
jab KHub miTana ho to kis tarah miTaen
aisi hi tere shahr mein hoti hai murawwat
aisi hi mere des mein hoti hain wafaen
dekhe koi aflak ka ye josh-e-tabahi
tinke ko Darna ho to tufan uThaen
Thahra hun isi baat pe main laiq-e-tazir
jis baat pe baKHshi gain auron ki KHataen
diwanon ko duniya se ulajhne ki kahan tab
fursat ho to ek aur hi duniya na banaen
ye kaun se zindan ki girai gai diwar
ye kaun si tamir ki uThti hain binaen
ai maskan-e-KHuban-e-zaman shahr-e-azizan
hum bhi kabhi bikne tere bazar mein aaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.