ijazat de ki apni dastan-e-gham bayan kar len
ijāzat de ki apnī dāstān-e-ġham bayāñ kar leñ
tire ehsās aur apnī zabāñ kā imtihāñ kar leñ
hayāt-e-jāvedāñ bhī ishq meñ barbād kar leñge
matā-e-hastī-e-fānī to pahle rā.egāñ kar leñ
ye sāzish kar rahe haiñ chand tinke āshiyāne ke
ki bijlī ko kisī sūrat asīr-e-āshiyāñ kar leñ
shab-e-ġham ai tasavvur un ko majbūr-e-tabassum kar
murattab is ujāle meñ ham apnī dāstāñ kar leñ
Thikānā ho kahāñ 'sīmāb' phir nāz-āfrīnī kā
agar ham apne dil ko be-niyāz-e-do-jahāñ kar leñ
ijazat de ki apni dastan-e-gham bayan kar len
tere ehsas aur apni zaban ka imtihan kar len
hayat-e-jawedan bhi ishq mein barbaad kar lenge
mata-e-hasti-e-fani to pahle raegan kar len
ye sazish kar rahe hain chand tinke aashiyane ke
ki bijli ko kisi surat asir-e-ashiyan kar len
shab-e-gham ai tasawwur un ko majbur-e-tabassum kar
murattab is ujale mein hum apni dastan kar len
Thikana ho kahan 'simab' phir naz-afrini ka
agar hum apne dil ko be-niyaz-e-do-jahan kar len
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 246)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.