ijz-e-KHak-sari kyun faKHr-e-kaj-kulahi kya
ijz-e-ḳhāk-sārī kyuuñ faḳhr-e-kaj-kulāhī kyā
jab mohabbateñ kī haiñ phir koī gavāhī kyā
ham rutoñ ke mujrim haiñ har havā kī nazroñ meñ
terī pārsā.ī kyā merī be-gunāhī kyā
tum to aañkh vaale the aks mil gayā hogā
maiñ sadā kā be-chehra merā ā.īna hī kyā
vasl kā koī lamha rā.egāñ nahīñ lekin
jo alag na kartā ho aisā rāsta hī kyā
shab-gazīda logoñ ko niiñd se ulajhnā hai
raat kī masāfat meñ razm-e-sub.h-gāhī kyā
jaane kab bigaḌ jaa.eñ jaane kab sañvar jaa.eñ
dast-e-kūza-gar meñ haiñ apnā aasrā hī kyā
tum 'salīm' shā.ir ho shohratoñ pe mat jaao
masnad-e-faqīrī pe ḳhabt-e-bādshāhī kyā
ijz-e-KHak-sari kyun faKHr-e-kaj-kulahi kya
jab mohabbaten ki hain phir koi gawahi kya
hum ruton ke mujrim hain har hawa ki nazron mein
teri parsai kya meri be-gunahi kya
tum to aankh wale the aks mil gaya hoga
main sada ka be-chehra mera aaina hi kya
wasl ka koi lamha raegan nahin lekin
jo alag na karta ho aisa rasta hi kya
shab-gazida logon ko nind se ulajhna hai
raat ki masafat mein razm-e-subh-gahi kya
jaane kab bigaD jaen jaane kab sanwar jaen
dast-e-kuza-gar mein hain apna aasra hi kya
tum 'salim' shair ho shohraton pe mat jao
masnad-e-faqiri pe KHabt-e-baadshahi kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.