ek aaKHiri umid hun ek rasta hun main
ik āḳhirī umiid huuñ ik rāstā huuñ maiñ
chal kar girā huuñ aur sañbhal kar uThā huuñ maiñ
suntī hai is tarah se mirī zindagī mujhe
TuuTe hue ġhurūr kī bikhrī sadā huuñ maiñ
vābasta is qadar thā maiñ āñgan kī dhuup se
dīvār jab uThā.ī ga.ī gir paḌā huuñ maiñ
kal raat apne ḳhvāb meñ pyāsā hī mar gayā
dariyā tirī talāsh meñ jaañ se gayā huuñ maiñ
ik silsila thā pusht thī ḳhanjar thā vaar thā
hairat-zada haiñ yaar ki ab tak khaḌā huuñ maiñ
mujh ko nikālnī thī ka.ī sūrajoñ kī raah
duniyā samajh na paa.ī ki kyūñkar bujhā huuñ maiñ
haiñ be-asar ye ḳhuun ke dhabbe ye shor-o-ġhul
maiñ huuñ zamīr-e-qaum abhī so rahā huuñ maiñ
dekhā hai maiñ ne ḳhaak bhī sahrā bhī dasht bhī
vahshat tire hudūd se aage gayā huuñ maiñ
vahm-o-gumān vaalo mire paas aao to
mujh se nazar milāo ki ik aa.ina huuñ maiñ
ek aaKHiri umid hun ek rasta hun main
chal kar gira hun aur sanbhal kar uTha hun main
sunti hai is tarah se meri zindagi mujhe
TuTe hue ghurur ki bikhri sada hun main
wabasta is qadar tha main aangan ki dhup se
diwar jab uThai gai gir paDa hun main
kal raat apne KHwab mein pyasa hi mar gaya
dariya teri talash mein jaan se gaya hun main
ek silsila tha pusht thi KHanjar tha war tha
hairat-zada hain yar ki ab tak khaDa hun main
mujh ko nikalni thi kai surajon ki rah
duniya samajh na pai ki kyunkar bujha hun main
hain be-asar ye KHun ke dhabbe ye shor-o-ghul
main hun zamir-e-qaum abhi so raha hun main
dekha hai main ne KHak bhi sahra bhi dasht bhi
wahshat tere hudud se aage gaya hun main
wahm-o-guman walo mere pas aao to
mujh se nazar milao ki ek aaina hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.