ek aan mein hi yun tera paikar badal gaya
ik aan meñ hī yuuñ tirā paikar badal gayā
jaise stage par koī manzar badal gayā
suntā nahīñ hai koī bhī merī pukār ko
dastak badal ga.ī ki mirā ghar badal gayā
ik aan meñ hī sab dar-o-dīvār dhul ga.e
bārish se shahr-bhar kā muqaddar badal gayā
ḳhalvat meñ jis ke lab pe the merī vafā ke giit
vo shaḳhs mere sāmne aa kar badal gayā
'betāb' ab to had-e-nazar tak hī ret hai
rātoñ hī raat kitnā samundar badal gayā
ek aan mein hi yun tera paikar badal gaya
jaise stage par koi manzar badal gaya
sunta nahin hai koi bhi meri pukar ko
dastak badal gai ki mera ghar badal gaya
ek aan mein hi sab dar-o-diwar dhul gae
barish se shahr-bhar ka muqaddar badal gaya
KHalwat mein jis ke lab pe the meri wafa ke git
wo shaKHs mere samne aa kar badal gaya
'betab' ab to had-e-nazar tak hi ret hai
raaton hi raat kitna samundar badal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.