ek aarzu yahi hai mere qalb-e-zar mein
ik aarzū yahī hai mire qalb-e-zār meñ
kaT jaa.e saarī umr tire intizār meñ
kyā baat hai fazā-e-chaman kyoñ udaas hai
phūloñ meñ zindagī na taḌap hai bahār meñ
pahle to ḳhair un ke sitam hī kā thā gila
dil bhī nahīñ hai ab to mire iḳhtiyār meñ
lillāh dījiye na judā.ī kā ġham mujhe
itnī jagah kahāñ hai dil-e-sogvār meñ
'anjum' mirī nigāh ne dilkash banā diyā
varna kashish to kuchh bhī na thī husn-e-yār meñ
ek aarzu yahi hai mere qalb-e-zar mein
kaT jae sari umr tere intizar mein
kya baat hai faza-e-chaman kyon udas hai
phulon mein zindagi na taDap hai bahaar mein
pahle to KHair un ke sitam hi ka tha gila
dil bhi nahin hai ab to mere iKHtiyar mein
lillah dijiye na judai ka gham mujhe
itni jagah kahan hai dil-e-sogwar mein
'anjum' meri nigah ne dilkash bana diya
warna kashish to kuchh bhi na thi husn-e-yar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.