ek aawara sa lamha kya qafas mein aa gaya hai
ik āvāra sā lamha kyā qafas meñ aa gayā hai
lagā jaise zamāna dastaras meñ aa gayā hai
ye kis koñpal khulī sā'at sadā dī hai kisī ne
rutoñ kā ras har ik tār-e-nafas meñ aa gayā hai
ham us kūche se nisbat kī ḳhushī kaise sañbhāleñ
hamārā naam us ke ḳhār-o-ḳhas meñ aa gayā hai
lahū meñ lau kahāñ maujūd zinda rābte kī
nibhāne ko faqat be-rūh rasmeñ aa gayā hai
anā ke faisle kyā marzi-e-pindār kaisī
mirā honā na honā us ke bas meñ aa gayā hai
utar aa.e un āñkhoñ meñ kuchh aise 'aks 'ālī'
ki dil phir se giraft-e-pesh-o-pas meñ aa gayā hai
ek aawara sa lamha kya qafas mein aa gaya hai
laga jaise zamana dastaras mein aa gaya hai
ye kis konpal khuli sa'at sada di hai kisi ne
ruton ka ras har ek tar-e-nafas mein aa gaya hai
hum us kuche se nisbat ki KHushi kaise sanbhaalen
hamara nam us ke KHar-o-KHas mein aa gaya hai
lahu mein lau kahan maujud zinda rabte ki
nibhane ko faqat be-ruh rasmen aa gaya hai
ana ke faisle kya marzi-e-pindar kaisi
mera hona na hona us ke bas mein aa gaya hai
utar aae un aankhon mein kuchh aise 'aks 'ali'
ki dil phir se giraft-e-pesh-o-pas mein aa gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.