ek adhuri si kahani main sunata kaise
ik adhūrī sī kahānī maiñ sunātā kaise
yaad aatā bhī nahīñ ḳhvāb vo bikhrā kaise
kitne sāyoñ se bharī hai ye havelī dil kī
aisī bhagdaḌ meñ koī shaḳhs Thahartā kaise
phuul zaḳhmoñ ke yahāñ aur bhī chun luuñ lekin
apnā dāman maiñ karūñ aur kushāda kaise
dukh ke sailāb meñ Duubā thā vo ḳhud hī itnā
merī āñkho tumheñ detā vo dilāsa kaise
kāñch ke zaar se bas dekhtā rahtā thā tumheñ
band shīshoñ se maiñ āvāz lagātā kaise
is kā phan maiñ ne bahut der talak kuchlā thā
rah gayā saañp tire dard kā zinda kaise
ab to āñkhoñ meñ siyāhī sī bharī rahtī hai
aise aalam meñ koī ḳhvāb ho ujlā kaise
daaġh hī daaġh ubhar aa.e mire chehre par
rañg merā ai musavvir huā bhaddā kaise
ḳhushk miTTī meñ paḌā thā mire dil kā paudhā
is kī shāḳhoñ pe koī phuul bhī aatā kaise
ek adhuri si kahani main sunata kaise
yaad aata bhi nahin KHwab wo bikhra kaise
kitne sayon se bhari hai ye haweli dil ki
aisi bhagdaD mein koi shaKHs Thaharta kaise
phul zaKHmon ke yahan aur bhi chun lun lekin
apna daman main karun aur kushada kaise
dukh ke sailab mein Duba tha wo KHud hi itna
meri aankho tumhein deta wo dilasa kaise
kanch ke zar se bas dekhta rahta tha tumhein
band shishon se main aawaz lagata kaise
is ka phan main ne bahut der talak kuchla tha
rah gaya sanp tere dard ka zinda kaise
ab to aankhon mein siyahi si bhari rahti hai
aise aalam mein koi KHwab ho ujla kaise
dagh hi dagh ubhar aae mere chehre par
rang mera ai musawwir hua bhadda kaise
KHushk miTTi mein paDa tha mere dil ka paudha
is ki shaKHon pe koi phul bhi aata kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.