ek ahl-e-ilm se ek nukta-war se nikla tha
ik ahl-e-ilm se ik nukta-var se niklā thā
vo aib thā jo mata-e-hunar se niklā thā
tamām umr vo phir lauT kar nahīñ aayā
na jaane kaun sī saa.at meñ ghar se niklā thā
samajh rahe haiñ sabhī āsmān ko manzil
ye silsila mire zauq-e-safar se niklā thā
vahī to de gayā dīvār-o-dar ko vīrānī
jo sabza kal inhīñ dīvār-o-dar se niklā thā
banā diyā unhīñ lafzoñ ne jism ko sūraj
jo harf harf zabān-e-'sharar' se niklā thā
ek ahl-e-ilm se ek nukta-war se nikla tha
wo aib tha jo mata-e-hunar se nikla tha
tamam umr wo phir lauT kar nahin aaya
na jaane kaun si saat mein ghar se nikla tha
samajh rahe hain sabhi aasman ko manzil
ye silsila mere zauq-e-safar se nikla tha
wahi to de gaya diwar-o-dar ko virani
jo sabza kal inhin diwar-o-dar se nikla tha
bana diya unhin lafzon ne jism ko suraj
jo harf harf zaban-e-'sharar' se nikla tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.