ek aisa moD sar-e-rahguzar bhi aaega
ik aisā moḌ sar-e-rahguzar bhī aa.egā
vufūr-e-ḳhauf meñ lutf-e-safar bhī aa.egā
ye us kā shahr hai us kī mahak batātī hai
zarā talāsh karo us kā ghar bhī aa.egā
isī yaqīn pe har zulm sahte rahte haiñ
ki shāḳh-e-sabr pe ik din samar bhī aa.egā
qarīb-e-manzil-e-jānāñ surūr-e-dil ke saath
junūñ kī fitna-tarāzī se Dar bhī aa.egā
khule raheñge darīche is aas par ghar ke
kabhī to jhoñkā havā kā idhar bhī aa.egā
chhupā.e phirne se kab ishq-o-mushk chhupte haiñ
chaḌhegā chāñd to sab ko nazar bhī aa.egā
ab us ke band kivāḌoñ ke paas baiTh raheñ
jo shaḳhs ghar se gayā hai vo ghar bhī aa.egā
sarishk-e-ḳhūñ kī tarah lafz aañkh se Tapkeñ
to phir du'ā meñ 'munavār' asar bhī aa.egā
ek aisa moD sar-e-rahguzar bhi aaega
wufur-e-KHauf mein lutf-e-safar bhi aaega
ye us ka shahr hai us ki mahak batati hai
zara talash karo us ka ghar bhi aaega
isi yaqin pe har zulm sahte rahte hain
ki shaKH-e-sabr pe ek din samar bhi aaega
qarib-e-manzil-e-jaanan surur-e-dil ke sath
junun ki fitna-taraazi se Dar bhi aaega
khule rahenge dariche is aas par ghar ke
kabhi to jhonka hawa ka idhar bhi aaega
chhupae phirne se kab ishq-o-mushk chhupte hain
chaDhega chand to sab ko nazar bhi aaega
ab us ke band kiwaDon ke pas baiTh rahen
jo shaKHs ghar se gaya hai wo ghar bhi aaega
sarishk-e-KHun ki tarah lafz aankh se Tapken
to phir du'a mein 'munawar' asar bhi aaega
- Book : Gazal ai Gazal (Kulliyat-e-Gazal) (Pg. 29)
- Author : Dr. Munawar Hashmi
- Publication : Duniya-e-Urdu Publications, Islam abad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.