ek aisa zindagi ka zabta tashkil kar aaya
ik aisā zindagī kā zābta tashkīl kar aayā
jo sang-e-zāt thā maiñ us ko sang-e-mīl kar aayā
na harf-o-lafz hī rakkhe na hai saut-o-sadā un meñ
bas ik saade varaq par zindagī tahlīl kar aayā
masīhā.ī ke charche hashr tak yuuñ hī mire hoñge
sadā-e-qum-ba-iznillāh ko injīl kar aayā
jo terī baat thī mālik bayāñ kar dī zamāne se
jo terā hukm thā us hukm kī ta.amīl kar aayā
mirā har sher 'nāshir' zindagī kā tarjuma Thahrā
suḳhan meñ Dhaal kar qisse ko bā-tafsīl kar aayā
ek aisa zindagi ka zabta tashkil kar aaya
jo sang-e-zat tha main us ko sang-e-mil kar aaya
na harf-o-lafz hi rakkhe na hai saut-o-sada un mein
bas ek sade waraq par zindagi tahlil kar aaya
masihai ke charche hashr tak yun hi mere honge
sada-e-qum-ba-iznillah ko injil kar aaya
jo teri baat thi malik bayan kar di zamane se
jo tera hukm tha us hukm ki tamil kar aaya
mera har sher 'nashir' zindagi ka tarjuma Thahra
suKHan mein Dhaal kar qisse ko ba-tafsil kar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.