ek aise chaara-gar se bhi rishta raha mera
ik aise chāra-gar se bhī rishta rahā mirā
jitnā thā zaḳhm utnā hī gahrā rahā mirā
maiñ kyā akelā chhāntā terī galī kī ḳhaak
vo dard thā jo haath baTātā rahā mirā
vo peḌ kaT ke ek imārat meñ lag gayā
saa.e meñ jis ke kārvāñ Thahrā rahā mirā
ab ke havā.eñ ghar se mire chhat bhī le ga.iiñ
mausam nayā mazāq uḌātā rahā mirā
'kāshif' kal ek laash sar-e-rāh dekh kar
mujh se zamīr aañkh churātā rahā mirā
ek aise chaara-gar se bhi rishta raha mera
jitna tha zaKHm utna hi gahra raha mera
main kya akela chhanta teri gali ki KHak
wo dard tha jo hath baTata raha mera
wo peD kaT ke ek imarat mein lag gaya
sae mein jis ke karwan Thahra raha mera
ab ke hawaen ghar se mere chhat bhi le gain
mausam naya mazaq uData raha mera
'kashif' kal ek lash sar-e-rah dekh kar
mujh se zamir aankh churaata raha mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.