ek aisi anokhi zaban jaanta hun
ik aisī anokhī zabāñ jāntā huuñ
ki har zaḳhm kī dāstāñ jāntā huuñ
nahīñ koī shai darmiyāñ jāntā huuñ
faqat maiñ zamīñ āsmāñ jāntā huuñ
yuuñ hī baat hotī nahīñ hai ġhazal se
ishāroñ kī tarz-e-bayāñ jāntā huuñ
bahāroñ kā zāmin jo sab ke liye hai
usī ko maiñ daur-e-ḳhizāñ jāntā huuñ
kareñge na phūloñ kī bārish kabhī vo
ki jin ko maiñ tīr-o-kamāñ jāntā huuñ
mirā azm saare zamāne se a.alā
kise hai ye vahm-o-gumāñ jāntā huuñ
ek aisi anokhi zaban jaanta hun
ki har zaKHm ki dastan jaanta hun
nahin koi shai darmiyan jaanta hun
faqat main zamin aasman jaanta hun
yun hi baat hoti nahin hai ghazal se
ishaaron ki tarz-e-bayan jaanta hun
bahaaron ka zamin jo sab ke liye hai
usi ko main daur-e-KHizan jaanta hun
karenge na phulon ki barish kabhi wo
ki jin ko main tir-o-kaman jaanta hun
mera azm sare zamane se aala
kise hai ye wahm-o-guman jaanta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.