ek ajab humne majra dekha
ik ajab ham ne mājrā dekhā
dard bardāsht se sivā dekhā
dil-e-be-chain ko kahāñ le jaa.eñ
ik jahāñ se use lagā dekhā
vaa.e aḳhtar ḳhudā ko bhuul ga.e
jab kahīñ koī aasrā dekhā
zahar-e-mahrūmī-e-masā chakkhā
qahr-e-masmūmī-e-sabā dekhā
koī ummīd hai to ġhairoñ se
bārhā ḳhud ko aazmā dekhā
phuul gulshan meñ mor jañgal meñ
sīm-e-sub.h-o-zar-e-masā dekhā
nigah-e-shoḳh-e-surma-sā dekhī
dast-e-sad turra-e-hinā dekhā
ne sahī gar vafā nahīñ dekhī
ham ne yaañ husn-e-be-panah dekhā
jis ne chāhā use ḳhudā chāhā
jis ne dekhā use ḳhudā dekhā
ek ajab hum ne majra dekha
dard bardasht se siwa dekha
dil-e-be-chain ko kahan le jaen
ek jahan se use laga dekha
wae aKHtar KHuda ko bhul gae
jab kahin koi aasra dekha
zahar-e-mahrumi-e-masa chakkha
qahr-e-masmumi-e-saba dekha
koi ummid hai to ghairon se
barha KHud ko aazma dekha
phul gulshan mein mor jangal mein
sim-e-subh-o-zar-e-masa dekha
nigah-e-shoKH-e-surma-sa dekhi
dast-e-sad turra-e-hina dekha
ne sahi gar wafa nahin dekhi
hum ne yan husn-e-be-panah dekha
jis ne chaha use KHuda chaha
jis ne dekha use KHuda dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.